Poppo app me hosting | Hosting in pappo app | poppo app hosting registration

Poppo app ek dating application Hay Jo Google Play Store par 3.8 rating ke sath available hai. Ye ek Popular dating application hai joki Ek lakh Se Jyada download ho chuka hai. Es me ladkiyan hosting le kar weekly 20,000 – 25,000 kama sakti hai.
Poppo app me hosting Kaise le :-
Poppo app me aap hosting Kis Tarah Se Le sakte ho. Ajj hum es post mein esi ke bare mein baat karenge.
Sabse pahle aapko download ke Link per click kar ke app ko download karna hai.
Aap es application ko Direct Google play store se bhi download kar shakte ho. Download aur install hone ke baad aap ko application me login ke 3 option mil jate hai.
- Google Account
- Phone Number
Aap agar earning ke liay Id bana rahe hai toh aap apne phone number se hi login kare.

Phone number ke option ko select karne ke baad aap ko next page pe apna phone number bharna hoga. Jab aap apna phone number bharne ke bad next pe click karenge toh aap ko verification code ka option milega. waha aap ne get ke option pe click karna hai. Ush ke baad aap ke diye huye phone number pe aap ko ek 6 digit ka verification code aayega.
password ke option me aap ko apni marji ka password set karna hai. ye password 6 digit se jada ka aur 18 digit se kaam ka hona chahiye.
Password bharne ke baad next pe click kar de.

Next page pe aap ko kuch option milenge jis me aap ko apni details bharni padegi or submit karna padega.
Profile Picture :
Profile picture ka matlab hai aapki wo picture Jo aap Poppo app ke profile picture ke roop mein dekhna chahte ho. Ye profile picture Aap application Mein click kar sakte hain ya Apne phone ki Gallery se upload bhi kar sakte hain.
Username :
Username ka matlab hota hai aap ka naam. aap apni poppo id ka keya profile naam rakhna chahte ho wo naam aap yaha bhar shakte ho.
Date of Birth :
Date of birth ke option me apne apna original date of birth select kar ke bharna hai.
Country :
Country ke option me aap ne apne country ka naam select karna hai. jis se aap ko aap ke language me baat karne wale user milenge jinse aap asani se baat kar sakoge aur aap ke payment withdrawal ke time bhi problem nhi aayegi.
Gender :
Gender ke option me aap apna gender Male ya Female select kar sakte hai. Par agar aap female ho aur earning ke liay ye app use kar rahi to gender female hi select kare. kyu male id me earning ka option nhi hota.
Ushke bad aap ne submit ke button pe click kar dena hai. .

App ki Poppo app ke ID ban ke tyar ho jayegi aur aap Poppo app ke home screen pe aa jayenge. home screen pe aap ko boht se user ka profile dekhne ko mil jayega jo live honge.
Ab aapko me user profile me jana hai or waha ke option ko smajhana hai.

User profile me sab se upar aap ko aap ki profile picture dikhegi aur aap ka user name show hoga. Ushke bad yaha aap ke
- follow
- followers
- Close friends
- visitors
ke optione mil jayenge. aap yaha se dekh shakte ho ki kis- kis ne aap ko follow kiya ya aap ne kis – kis ko fllow kiya hai.

Task Center :
Task Centre me Aapko kuch task Milte Hain jinhe complete Kar ke aap coins earn sakte hain. Yah task
- Matching Task
- Live task
- Daily task
hote hai.

Fruit Roulette :
Fruit Roulette ek game hai jis ko khel ke aap coins earn kar shakte hai. Ye boht easy game hai aap es game se daily k 10,000 se 15,000 tak coins earn kar shakte hai.
Video Duration :
Video duration wo option hai jis me aap ko aap ke video calls duration aur video live stream duration hoti hai. es option se aap check kar shakte ho ki daily basis pe aap kitna time video calls and live video live steam pe apna time de rahe ho.
My Photo :
My photo me aap ki picture upload hoti hai. jitni jada real verified picture hongi aap ki id utni hi jada search list me aayegi. jis se aap ko traffic bhi acha milega.

Authentication :
Authentication me aap ki verification ki details hoti hai. agar aap ne apne phone number se apni id banai hai toh aap ka phone number ushi waqt poppo app se link or verified ho jayega aur face verification aap ne baad me karna hai.
Level Center :
Level center me aap ko aap ki id ka level show hoga aur ye level aap ke coins earning ke sath sath badhta hi jayega.

Customer Service :
Customer service me aap apni koi bhi query ya koi problem jo aap ko pappo app chalte weqt aa rahi hai ushka Screen shot bhej ke direct app service center se baat kar shakte hai aur ushka solution jaan shakte hai.
Settings :
Settings me aap ko aap ki id se related sari settings mil jayenge jaise ki agar aap apna video chat ya audio chat band karna chahte ho ya aap apni id ka language set karna chahte ho toh ye sab option yaha mil jate hai.

Aap ko agency join karne ka option me setting profile me hi milta hai. aap apne jis bhi agent ke sath kaam karna chahte ho ushka agency number yaha join the agency option me jaa k bhar de. aap apne agent ke sath bind ho jayenge.
Aap ko ye bata do ki aap apna agent ek bar hi choose kar shakte hai. Matlab agar baad me aap apna agent change karna chahe toh wo nhi ho shakta. aur aap ko apni earning withdraw karne ke liay kisi na kisi agency se judhna hi padega.

Setting me aap ko apni id ko log out karne ka bhi option milta hai. Esi tarah ki or bhi posts Padhne ke liye Website ko subscribe jarur karein.