How to create hosting in mumu live app

How to create hosting in mumu live app

Aaj Ke es post ki madad se ham  sikhenge ki meme live broadcast application me host kaise bane. Ya mumu live app me hosting kaise create karein. Mumu live app ek live broadcasting ka application hai jisme live aakar aap dher sara paisa kama sakte hai.

How to create hosting in mumu live app

Par esme hosting create karna etna aasan nahi hai, jitna aap samjh rahe hai. Kyuki Es application ko ek khas tareeke se banaya gya hai jisme host ya recruiter banane ka ya banane ki sari athourity Mumu live team ke hath me hoti hai.

Host ki Income

Agar aap is application main post Ban Jaate Hain Tu kisi bhi ladke ya ladki ki se sirf ek minute baat karne ka hi aap 30 coins charge karoge, Jo Indian rupaye ke according 40 se 45 rupay bante hai. To eske  according Agar pure Din Mein aapko 100 minute bhi baat karne ka mauka milta hai to aap bahut acha paisa kama sakte hai. 

Itna hi Nahin aapko salary ke roop mein is application ke taraf se a bhi acche kha se paise Milenge. Yaha par  aapki kam se kam 11,000 rupaye salary Lagegi. tatha Jyada Se Jyada aap is application ki madad se 1,00,000 rupaye Har mahine Kama sakte hain.

How to create hosting

Jaisa ki main aapko is post ke upar bataya ki is application me Ham direct Host Nahin Ban sakte. Hame yaha par host banane ke liye kisi na kisi third party Agency se contact karna padega. Eske baad Wah Third party Agency aapki sabhi details ko check karegi and dekhegi ki aap sach me interested hai ya fir sirf time pass ke liye aaye hai. 

Is process me aapka sara history bhi check kiya jaega ki kya kabhi aapne ye application use bhi kiya hai. Ya fir ab tak aapne esko kitni baar recharge kiya hai. Aapki age kitni hai. Aap ka figure kaise hai, and aapki communication skill kaisi hai. Yah sabhi kuch dekhne ke baad hi aapko ye agency approve karegi hosting ya recuiter ke liye. 

How to create hosting in MUMU Live App

Agar aapko ye agency authority degi tabhi aap yaha par host ban sakte hai. Eske bina nahi. Par yaha par Dhayan es baat ka bhi rakhna hai ki jo agency aapne dhundha hai wo sach me es application se juda hai ki aapko ullu bana raha hai. 

Eske elawa aap abhi bhi kisi bhi aise agency walo ki baato me aakar koi OTP ya bank account se related koi jankari unko naa dein. Aap unse aisa koi bhi apna personal data share na karein jis se aapka nuksan ho sakein.

Eske baare me adhik jaankari ke liye aap ye video bhi dekh akte hai.