Gala live app agency | Agency in Gala live app | Gala live agency registration

Gala live ek dating app jo ki aap ko Google Play Store se mil Jayegi. Iske ek lakh Se Jyada user’s hai. Gala live se aap live streaming, Video – calling or Games khel ke paise earn kar sakte hai.
Gala live me hosting lene ke bare me main aap ko pehle hi apni post me bata chuka hu. Wo past padhne ke liye aap niche diye link par click karein.
Gala live app ne hosting lene ka process.
Gala live app me agency lene ka process
Apna agency create karne ke liye aapko niche diye download ke TAB par click karna hai.
Uspe click karne ke baad aapke samne ek page open ho jaega jo kuch es tarah ka hoga.
Ajj main aap ko es post me gala live app ki agency lene ke process ke bare me batane ja raha hu.

- Nick Name
- Password
- Confirm Password
- Agent Name
- Phone Number
- Verification Code
- Bind
- Sign In
1. Nick Name
Nickname wo option hai Jisme agency Lene wala apna username enter Karega. Ek Bar user ID enter Karke agency lene ke bad aap es user name ko change nahin kar sakte.Es nickname me aap apne naam ke bich me space bhi nahin Laga Sakte.
2. Password
Password ke option mein aap apne user ID ka password enter Karenge Jo password aap apni agency ke login ID ka Rakhna Chahte Hain. yah password of 10 digit se kam come Rakhna hai.
3. Confirm Password
Confirm password ke option mein aap apna password Dobara se type karke. Apne agency login id ke password Ka cross check kr sakte hai.Matlab aap ne apna password hi yaha dobara se repeat karna hai.
4. Agent Name
Agent name wo option hai Jahan aap apne agency ka naam bharte hain. Jo bhi naam aap yahan enter karenge. Aap ki agency ushi Naam se show hogi.
5. Phone Number
Phone number ke option me aap ko sabse pehle apna country code select karna hai, Ushke baad aap ne apna phone number enter karna hai.Aap jo number yaha doge aap ki agency ushi number se link ho jayega.
6. Verification Code
Jab aap apna phone number enter kar ke Send per click Karenge. Uske bad aapke number per Ek 6 digit ka verification code aaega. Wo 6 digit code apne yahan bhar dena hai.
7. Bind
Sab details bharne ke baad ek bar apne bhare hue details ko check kar le aur check karne ke baad Bind pe click kare . Bind pe click karte hi aap ki agency create ho jayegi. aur jo apne apna Username aur password bhara ho ushki madat se aap apni agency ko login kr sakenge.
8. Sign In
Apni agency id create hone ke baad aap yaha sign in ke option pe click kar ke apni agency open kar payenge.
Agar aap ke pass pehle se hi registered agency login hai to aap yaha apna user id or password bhar k bhi login kar sakte hai.
Agency link
Tui hotton mui agency lobar tty SMS goronger